Utho, jago aur tab tak nahi ruko jab tak lakshy na prapt ho jaye. Utho mere shero, is bhram ko mita do ki tum nirbal ho, tum ek amar atma ho, swachhand jiv ho, dhany ho, sanatan ho, tum tatv nahi ho, na hi sharir ho, tatv tumahara sevak hai, tum tatv ke sevak nahi ho Bramhand ki sari shaktiya pahle se hamari hain, vo ham hi hain jo apni aankho par hath rakh lete hain, aur phir rote hain ki kitna andhkar hai. Jis tarah se vibhinn shroto se utpann dharaye apna jal samudra me mila deti hai, usi prakar manushya dwara chuna gaya har marg ishwar tak jata hai chahe vah achcha ho ya bura ho. Kisi ki ninda na kare, agar aap madad ke liye hat badha sakte hain to jarur badhaye, aur agar nahi badha sakte, to apne hath jod lijiye, apne bhaiyon ko ashirvad dijiye, aur unhe unake marg pe jane dijiye. Shriram Krishna kaha karte the, "Jab tak mai jivit hu tab tak mai sikhta hu" vah vykti ya vah samaj jisake pas sikhane ko kuchh nahi hai vah pahle se hi maut ke jabade me hai. ...
Comments
Post a Comment