Don't be negative (Power of Positivity)
Namsakar mitro,
Hamari jindagi ek saf suthre shishe ki tarah hai. Bachpan me to yah shisha bilkul saf suthra hota hai, lekin jaise-jaise ham bade hote jate hain, hamare aas- pas ke logo ki vajah se hamare, hamare apno ki vajah se hamari soch badalati jati hai.
Matlab is shishe par logo ki vajah se, vatavaran ki vajah se, hamre khud ki vajah se dhul jam jati hai. Is dhul bhare gande shishe ko hi ham apni hakikat man lete hain.
Ham har man lete hain, apne sapno ko chhod dete hain, aur ye maan lete hain ki ham jyada kuchh nahi kar sakte hain. Jaise kisi ko lagta hai mai business nahi kar sakata kyuki mere paas paise nahi hain ya mere paas business karne ka hunar nahi hai.
Kisi ko lagta hai ki mai exams me achche marks nahi la sakta, koi kahta hai mai salesman nahi ban sakta kyuki mere baat karne ka tarika achcha nahi hai. Aur dhire -dhire ham ye maan lete hain ki hame ek average life hi bitani hai kyuki mere me kuchh khas nahin hai. Mai amir nahi ho sakta kyuki meri kismat kharab hai.
Sach ye hai ki hamne apni soch ke shishe par itni dhul jamane di hai ki aaj hame kuchh bada sochane me dar lagta hai.
Jab ham bachche the to hamri soch ka ye jo shisha hai vo bilkul saf tha, jab hamane chalna shuru kiya tha to hame kabhi girane ka dar nahi hota tha, hame kabhi dusaron ke majak udane ki parvah nahi hoti thi, ham us samay koi bahane nahi banaya karte the ki is vajah se gir gaye kyuki farsh kharab hai, kyunki mujhe kisi ne chalana nahi sikhaya hai.
Jab ham girate the, fir se uthane ki koshish karate the, fir girate aur fir uthate the aur tab tak koshish karate rahe jabtak ham safal nahi huye.
Jaise jaise ham bade hote gaye, hamane logo ki parvah karna shuru kar diya, logo ki baton ka ham par asar hona shuru ho gaya. Logo ke dwra feka gaya kachara hamare man pe, dimag pe chhane laga yani hamara shisha ganda hota chala gaya. Aur hamari koshish karne ki ichcha kam hoti chali gayi. Hame apni yogyata par vishwas hi nahi rah gaya, ab ham hamesha bahane banane lage aur apni asafaltao ko dusaron ke sir madhane lage hain.
Agar aap sach me apne jivan ko badalana chahte hain hain to aaj se hi shuruvat kijiye, apne sawalo ka rukh mod dijiye apni soch ko badal dijiye.
Badlao aapko hi karna hai. For example agar aap sochate hain ke mai ek achcha student nahi ban sakta hun, iske badle aap ye sochana shuru karo ke kaise mai ek achcha student ban sakta hu. Agar aapko lagata hai ki aap achche sales man nahi ho sakte to aap socho ki kya kamiya hain jinaki vajah se mai asafal ho raha hu, aur apane aapko sudhar ki disha me le jaiye.
Dosto jis din aap yah vishvas karne lagege ki mai is kaam ko kar sakta hu yakin maniye us din aapki jindagi badal jayegi. Jis din aapne ye than liya ki main is kaam ko kar ke rahunga us din us kaam keo karne ke 10 tarike aapko sujhane lagege.
Khud pe yakin karna kisi kam ko karne ki disha me pahala sabse bada kadam hoga. Jis aapne apni nind aur chain ko tyag karke prayas karna shuru kar diya mai aapko vishwas ke sath kah sakta hu ki usi din se aapki samsya hal hone lagegi aur safalata aapke kadam chumegi.

Comments
Post a Comment