Criticism bhi prerna deta hai

Namskar,
Ek mahan vicharak ne bahut sundar baat kahi hai, "Maidan me yudhdh harne vala insan agali ladai jit sakta hai. Lekin man se hara hua insan apni jindagi me koi bhi ladai nahi jeet sakta".

Ham apne man se isliye har jate hai, kyuki hamare aas-paas ka nakaratmak mahaul hamara utsah kam kar deta hai. Logo ki criticism hame aage nahi badhane deti hain, aur dhire- dhire logo ki kahi baate hamare man me ghar kar jati hain aur ham haar man lete hain.

Ek dusra tarika hai alochnao se nipatane ka vo hai alochnao ko challange ke taur par lena. Jab ko aapke upar negative comment kare to aap doguni utsah se lag jaiye apne kary ko karne ke liye. Is prakar yadi aap lagatar aalochanao se bina dare apna kary karte rahenge  to nischit rup se ek din aisa aayega jab aapki aalochana karne valo ka muh band ho jayega.

Isi sambandh me ek kahani hai-
Ye kahani hai Nepolian Bonapart ki, uske bare me ek baat bahut famous hai ki vo ek baar jis kaam ko karne ke liye man bana leta hai, use pura karke hi chhodta hai. Ek baar use bata chala ki uske rajy ke najdik Alpas parvat hai, jise aaj tak koi par nahi kar paya hai.

Yah baat sunkar nepolian apni sena ko lekar us pahad ki or chal pada. Jab vah us pahad ke najdik pahucha to usaki sena ke jawano ke hosh ud gaye. Nepolian ne sena ko aage badhane ka aadesh diya aur kaha ki is parvat par chadho.

Vaha pas ke ek khet me ek budha kisan kaam kar raha tha, vah Nepolian ko dekh kar usake paas aa gya aur use samjhane laga ki yah pahad bahut khatarnak hai ispar chadna asambhav hai. Yadi aapko apni jaan pyari hai to vapas chale jao.

Uski baat sunkar Nepolian haste huye bola "He kisan mai raja nepolian hu aur jo mai than leta hu vo karke chhodta hu". Tumane yah baate bolkar mujhe ek chunauti di hai ab mai nischit hi is pahad par chadhunga aur vapas aakar tumase milunga.

Kisan yah jankar ki vah raja Nepolian hai, dar gaya aur bola maharaj mujhe maaf kijiye maine aapko pahchana nahi. Aap pahle aise vykti hain jisane meri baat sunkar bhi pahad par chadhane ki thani hai.

Iske baad nepolian ne us pahadi par chadhai shuru ki aur us pahad ko langhkar ek naya itihas rach diya.

Isiliye dosto criticism ko bhi chunauti ke taur par lena chahiye.
   

Comments

Popular posts from this blog

Swami Vivekanand Quotes in hindi

20 quotes of APJ Abdul kalam

Samvad Jaruri hai