Dhan Utna Hi Ikaththa Kare Jitani Jarurat Ho

Purane samay ki baat hai, ek gaon me bahut hi dhanvan vykti rahta tha. Usake pas kafi jamin thi aur lakho rupaye ki sampatti thi. Itane paise hone ke bavjud usako santushti nahi thi. vah bahut hi kanjus tha aur apna ek rupaya bhi kisi jarurat mand ko dena pasand nahi karta tha.

Usako sabse adhik prem sone se tha, sone ki lalach usme bahut badh gayi thi aur use paise kamane ke alava kuchh bhi najar nahi aata tha. Usane apni sari sampatti bechkar sone ke sikke kharid liye. Usane socha ghar me to kabhi bhi chori ho sakati hai, ye sochkar usane un sikko ko kahi chhupane ki sochi.

Agle din hi usane un sabhi sone ke sikko ko ek majbut bori me bharkar raat me gaon ke bahar apane khet me gad diya, aur chupchap ghar aa gaya. Usane yah baat apne patni aur bachcho ko bhi nahi batayi. Vah roj raat ko apne khet me jata aur un sikko ko nikalar dekhata ki kahi yaha bhi chori to nahi ho gaye aur dekhakar vapas laut aata tha.

Vah hamesha apne sone ke sikko ko lekar chintit rahta tha aur roj hi apne sone ke sikko ko dekhane khet me jata tha. Jab vah apne ghar se nikalkar khet me jata to usi gaon ka hi ek dusara vykti use dekha karata tha. Kuchh din yuhi chalta raha to use shak hone laga. Ek din usane us kisan ka pichha kiya aur chhupkar dekhane laga ki vah kya karta hai.

Usane dekha ki us kisan ne apne sone ke sikko ko nikala aur unhe dekhkar nischint hokar unhe vapas mitti me dabakar ghar laut aya. Vah vyakti usake jane ke baad us jagah ko khodane laga aur jaise hio usako vah sone ki bhari hui bori mili usako lekar vah bhag gaya.

Agale din phir raat me roj ki tarah vah kisan apne khet me gyaa aur us jagah ko khodane laga aur jaise hi usane dekha ki ab vaha kuch nahi hai to vah dahad markar rone laga. gaon ke sabhi log ikaththa ho gaye unhone usse rone ka karan puchha to usane sari baat batayi.

Usaki baat sunkar ek bujurg vyakti bola ki tumhare rone aur chillane ka ab koi labh nahi, jab tumhare paas dhan tha tab bhi vah kisi kaam ka nahi tha kyuki tum usaka istemal nahi karte the. tum keval kalpnao me dhanvan the, dhan to tumhara mitii me hi daba rhta tha.

Dosto dhan ka lalch insan ko andha bana deta hai isliye keval utna hi dhan ikaththa kijiye jitani aapko avshyakta ho, jarurat se jyada dhan ikaththa karne par uska vinash hi hota hai.  

Comments

Popular posts from this blog

Swami Vivekanand Quotes in hindi

20 quotes of APJ Abdul kalam

Samvad Jaruri hai