Best tips for better personality

Namskar Mitron,
Aaj ke samay me bachocho me sanskaron ka hanan hota ja rha hai aur bachche uddand aur badtamij hote ja rahen hain. Yahi bachche hamre desh ke bhavishy hote hain aur yahi desh ka nirman karte hain. Sochiye agar hamare bhavishy ke nirmata hi apni rah se bhatak jayenge to desh ki unnati kaise hogi. Aapki inhi samsyayon ko hal karne ke kuchh upay layen hain is post men. Aaiye samjhate hain hain in upayon ko-

  • Behtar charitra ke liye bachcho ko de achchi sikh:-

          Bachchon ke behtar charitra nirman ke liye aavshayak hai sahi margdarshan. Unko sahi margdashan mile iske liye sabse achcha upay hai hamare desh ke mahapurushon ke uttam charitra se unko parichit karaya jay. Aur is disha men kadam badhane ki sabse pahli sidhi hai ki bachchon ko mahapurushon ki jivani padhane ki prerna di jay aur unhe kitabe padhne ke liye prerit karen.

  • Bachchon ko chije batna shikhayen:-

      Doston aap ye to bahut achchi tarah se jante honge ki khushiyan batne se badhati hain aur dukh batane se kam hota hain. Atah hame apne bachchon ko share karne ki adat dalvani chahiye. Jaise ki uski kitabe, kapiya, khane pine ki chije apne bhai bahano se batna itayadi. 

  • Dusaron ki jarurat ko samjhana sikhayen:-
          Aaj ki duniyan me harek insan apne swarth evm vyktigat fayde ke kamo ko hi karta hai aur kai bar to hamari is adat ki vajah se kisi ka bada nuksan bhi ho jata hai kintu ham apne fayde se matlab rakhte hain. Dosto hame ye samajhna hoga ki kisi din vo insan jiska aaj hamne nuksan kiya hain, uski jagah ham bhi ho sakte hain aur yadi aisa hua to hame kitna kasht hoga. Isliye apne bachchon ko dusaron ki parvah karna jarur sikhayen.

  • Madad karne ki aadat dalvayen:-
         Bachcho men jaruratmando ki madad karane ka sanskar jarur dale, jaha kahi bhi koi bujurg ya mahila dikhayi de unki madad jarur karen. Yadi bachcha bus ya train men safar kar rha ho to apni seat jaruratmando ko dena shikhaye, sath hi sath dusron ki madad karne se honi vali khushi ka ahsas bhi karayen.

  • Vinamrta ki Bhavna paida karen:- 
       Bachche ko shant swabhav hone ke fayde ke bare men bataye, usko batayen ki kaise gusse men liya gya faisala uska hi anhit kar sakta hai. Usko yah bhi jarur bataye ki yadi vah shant man se kisi vishay par sochega aur fir nirnay lega to uske safal hone ki sambhavana bhi badh jayegi. Sath hi yah nhi samjhayen ki safal hone ki dasha me vinamra hona bahut jaruri hota hai jaise fal lagne ke baad ped jhuk jata hai.

Comments

Popular posts from this blog

Swami Vivekanand Quotes in hindi

20 quotes of APJ Abdul kalam

Samvad Jaruri hai