Kisi Vykti ke Bare me Koi Vichar Banane se Pahle 100 Bar Soche
Namsakr Mitron,
Aksar aisa hota hai ki ham kisi ko dekhte hain aur uske bare me koi vichar bana lete ya phir ek bar milte aur uske paksh ya vipaksh me koi dharna bana lete hain. Jaise ki vo achcha hai ya bura hai aadi, lekin ye baat bahut hi galat hai. Hame kisi ke bare me vichar karane se pahle sau baar sochana chahiye, aaiye mai aapko isi sambandh men ek kahani batata hu:-
Bahut samay pahle ki baat hai, ek sant subah subah ghumane ke liye samudra ke kinare pahuche. Samudra ke kinare unhone ek vykti ko ek stri ki god me sar rakhkar sote huye dekha. Vahi pas me ek sharab ki khali botal bhi padi hui thi.
Yah dekh kar sadhu bahut dukhi hua, usane socha ki ye manushy kitna vilasi hai jo subah subah hi sharb pikar stri ki god me sar rakhkar premalap kar raha hai.
Thodi der baad samudra se bachao-bachao ki aavaj aai, sant ne dekha ek aadmi samudra me dub rha hai. Sant ko tairana nahi aata tha isiliye majburan vo us vykti ko dubate huye dekhate rahe.
Stri ki god me sar rakh so rha vyakti utha aur dubane vale aadmi ko bachane ke liye paani me kud gaya. Thodi der me usane dubane vale ko bacha liya aur samudra ke kinare le aaya.
Vah sadhu soch me pad gaya ki is vyakti ko achcha kahu ya bura, apne shanka ke samdhan ke liye vo us vyakti ke paas gaye aur usse puchaa:- "Bhai tum kaun ho, yahan kya kar rahe ho, aur kya tumane subah subah madira pi rakhi hai"
Us vykti ne uttar diya:- "Mai ek machhuaara hu, machhali marane ka kaam karta hun, aaj kai dino baad machhali pakadkar subah hi yahan lauta hun, meri maa mujhe lene aayi thi aur sath men is botal me mere liye paani layi thi. Mai kai dino se thaka hua tha aur bhor ke suhavane vatavaran me ye paani pikar thakan dur karne ke liye maa ki god me sir rakhkar aise hi so gya".
Usaki baat sunkar sant sharminda ho gay aur sochane laga ki mai bhi kitna murkh hu, us vykti ko dekhkar maine na jane kya kya vichar bana liya jabki vastvikata kuch aur hi hai.
Dosto ham bhi aisa hi karte hain, kisi ko dekhkar turant hi usake bare me ulte sidhe vichar bana lete hain ya dusaro ke kahe anusar ham maan lete hain ki fala vykti aisa hai vaisa hai. Yaad rakhiye jivan me safal hone ke liye bahut jaruri hai vykti ki sahi pahchan hona, aur yadi aap kisi ki sahi pahchan karna chahte hain to samay dijiye, taki uske vyktitva ke sabhi pahluon ko samajh saken.

Comments
Post a Comment